Teri Furqat Me Tere Khwaab Ka Rang
Ek Chehraa Banaa Gulaab Ka Rang
Koee Jachta Nahi Haiy Aankhon Me
Jab Se Dekha Tere Shabaab Ka Rang
Taaj Bhee Tujh Ko Dekh Sharmaaye
Sang-E-Marmar Sa Aabtaab Ka Rang
Aayii Shehraa Me Phoolon Ki Khoosbu
Zarre Zarre Pe Tha Saraab Ka Rang
Zulf Khoolne Se Shaam Hone Lagii
Dhal Gayaa Jeyse Aaftaab Ka Rang
Haay Ye Parda-Nasheeno Ki Hansee
Khilkhilaata Huva Naqaab Ka Rang
Meyne Badkar Jo Haath Thaam Liya
Surkh Sa Ho Gaya Janaab Ka Rang
Bas Yehi Dar Mere Sawaalon Ko
Keysa Hoga Tere Jawaab Ka Rang
In Andheron Ko Alvida Keh Doon
Mujhko Mil Jaaye Maahtaab Ka Rang
Bin Peeye Mey Nashe Me Rehtaa Hoon
Teri Ulfat Haiy Ya Sharaab Ka Rang
Teri Khaamoshi Se Nahi Shikvaa
Dikh Raha Haiy Tere Hijaab Ka Rang
Aaj Bhar Doon Mey Maang Taaro Se
Ishq Mera Nahi Hubaab Ka Rang
Mauj-E-Darya Ne Le Liya Aakhir
Ek Thehre Huve Taalaab Ka Rang
Kyun “Shamaa” Roz Roz Jaltii Ho
Shaam Kyun Bangayi Aazaab Ka Rang