Teri Angdhai Se Subah Hoti Hai, Tu Nahin, Har Pal Raat Hi Rehti Hai,
Tu To Khamosh Hai, Magar Teri Bewafai Mujhse Sab Kuch Kehti Hai
Teri Aakhon Se Dekhte The, Tu Nahin, Zindagi Mein Andhera Chha Gaya,
Kahin Aisa To Nahin, Teri Zindagi Mein, Is Devdas Ke Siva Koi Aur Aa Gaya
Tere Kadmon Ke Nishan, Hume Raasta Dikhate The, Tu Nahin, Raaste Bhi Bhool Gaye,
Itni Thokaren Khai, Raaste Ke Patthar Bhi Tukde Tukde Ho Gaye
Tere Kaanon Se Sunte The, Tu Nahin, Charon Taraf Sannata Chha Gaya,
Aakhir Woh Kaun Hai, Jo Tujhko Is Devdas Se Churakar Le Gaya
Tujhe Dekh Ke Dil Dhadakta Hai, Tu Nahin, Sansen Lena Hi Bhool Gaye,
Zinda To Hain, Magar Kisi Zinda Laash Ki Tarah Ho Gaye,
Tujhko Khawabon Mein Dekhte The, Tu Nahin, Khawab Bhi Aana Band Ho Gaye,
Main Har Dam Hairan Hota Hoon, Tum Itne Tang Dil Kaise Ho Gaye
Teri Ada Ko Dekhkar, Devdas Sher Likhta Hai, Tu Nahin,
Shayad Shayari Bhi Bhool Jaun,
Is Kalam Ka Hi Sahara Hai, Tu Hi Bata Aur Kahan Jaun