Tere Nazuk Hathon Ko Jo Ha Tha
Kyon Unhe Nazakat Se Chudati Thi Tum;
Tere Shabnami Hothon Ko Jo Choomta
Kyon Kuch Kasmasa Si Jaathi Thi Tum
Tere Gesuon Me Jo Kabhi Haath Ferta
Kyon Hamari Bahon Me Simat Jaati Thi Tum
Jab Har Lamha Hum Saath Rahte The
Kyon Khayalon Me Aati Thi Tum
Jaan Se Jyada Tumhe Pyaar Karta Tha
Kyon Ishq Me Aazmaati Thi Tum
Teri Har Ada Pasand Thi Is Jamane Ko
Kyon Un Adaon Se Hamen Satati Thi Tum
Ab Tum Saath Nahin Maut Ka Sahara To Hai
Mar Ke Saath Rah Lenge Aisa Samjhati Thi Tum
Tera Intezaar Wahan Bhi Karenge Abhi Rukhsat Lete Hain
Der Na Karna Ki Har Mulakat Pe Bahut Intezaar Karati Thi Tum