Tere Liye Kab Bana Hai Dard
Woh Zism Ka Hai Ya Ruhanai Hai
Tu Aaj Agar Dard Main Dubi Hai
Kudarat Kee Be-Eemanee Hai
Jo Har Jhuke Sar Ka Sabab Hai
Hazar Duyaon Main Ghar Rakhti Hai
Woh Ashkbar Ho To Kyon Ho
Woh Zakhm Se Kaise Bhar Sakti Hai
Main Janata Hun Tune Khud Ise Bulya Hai
Ye Jo Bhee Dard Hai Paraya Hai
Tune Hee Ghar Ke Bahar Pata Galat Lagaya Hai
Ye Dard Kisee Aur Kee Kismat Kee Kahanee Hai
Jo Pata Dekh Ke Tere Ghar Tak Aya Hai
Itnee Nek Dilee Bhee Nek Nahee Lagti
Kab Tak Dusron Ke Ansu Mangegi
Kisee Ke Khabon Kee Hifazat Karegi
Kab Tak Besabab Raton Ko Jagegi
Meree Kasam Hai Ab Tujh Ko
Is Dard Ko Lautana Hoga
Teree Pahchan Khushi Hai Tera Pata Dard Nahi
Ghar Ke Bahar Sahee Pata Lagana Hoga
Darwaze Pe Sahee Nam Likhna Hoga
Meree Aaj Se Ye Zid Hai
Tere Dard Ko Jana Hoga
Tere Dard Ko Mitana Hoga