Tere Lehze Ki Talkhiat Se Main Pareshaan Rehta Hoon,
Is Tarz-E-Mohobbat Se Main Pareshan Rehta Hoon,
Do Pal Ke Chain Se Bhi Main Mohtaaj Rehta Hoon,
Apni Rooh Ki Halat Se Main Pareshaan Rehta Hoon,
Jane Har Shaam Kyun Udasiyo Ke Sath Aati Hai,
Kuch Issi Kashmkash Mein Main Pareshaan Rehta Hoon,
Tere Jaane Se Teri Yaadein Na Gayi Hai Ab Talak,
Teri Yaadon Ke Kaafilon Mein Main Pareshaan Rehta Hoon,
Umeedein To Rawan Hai Ke Koi Tham Hi Lega,
Apni Hi Umeedon Se Main Pareshaan Rehta Hoon,
Khwabon Ke Anjuman Main, Taaron Ke Shamianon Mein,
Main So Nahi Pata Main Pareshaan Rehta Hoon,
Tewar Tere Bhi Aajkal, Ache Nahi “Raahi”,
Is Badle Hue Chalan Se Main Pareshaan Rehta Hoon.
By Prateek Jain “Raahi”