Tere Honton Pay Tabasum Ki Wo Halki Si Kiran
Mere Khyal Mein Reh Reh Ke Jhalak Ut Tha Hai
Yun Achanak Tere Aariz Ka Khyal Ata Hai
Jese Zulmat Mein Koi Shama Bhrak Ut Thi Hai
Tere Pehrahan-E-Rangeen Ki Jano-N Khez Mehak
Khuwab Ban Ban Ke Mere Zehan Mein Lehrati Ahi
Raat Ki Sard Khamoshi Mein Har Ik Jhonke Se
Tere Anfaas Tere Jism Ki Aanch Ati Hai
Main Sulagtay Huway Razon Ko Aya To Kar Doon
Lekin In Razon Ki Tehsheer Se Jee Darta Hai
Raat Ke Khuab Ujalay Mein Bayaan To Kar Doon
In Haseen Khuabon Ki Tabeer Se Jee Darta Hai
Sochta Hoon Ke Tujhe Mil Ke Main Kis Soch Mein Hoon
Pehly Is Soch Ka Mafhoom Samajh Lon To Kahoon
Main Tere Shehr Mein Anjaan Hoon Pardesi Hoon
Tere Altaaf Ka Mafhoom Samajh Loon To Kahoon
Kahein Esa Na Ho Ye Paon Mere Thara Jay
Aur Tere Mar Maree Bahon Ka Sahara Na Milay
Ashk Behtay Rahay Aankhon Se Siyaa Raton Mein
Aur Teri Reshmi Aanchal Ka Sahara Na Milay