Tere Har Gum Ko Apna Humdum Kar Ke Nikla Hoon
Apni Khushiyon Me Dard Ka Aalam Kar Ke Nikla Hoon
Kisi V Zameen Ko Aaj Baadalon Ka Pyasa Na Dekhoge
Sulagti Chasm Ki Mitti Pe Maatam Kar Ke Nikla Hoon
Jo Bharne Chahe Kuch Zakhmtaaza Kar Liya Unko
Apne Dil Ki Veeraniyan Kuch Kam Kar Ke Nikla Hoon
Teri Yaad Me Rang-E-Hina Mila Hume In Chasmon Me
Jist-E-Registan Me Barsaat Ka Mausam Kar Ke Nikla Hoon
Aaj Phir Hui Is Dil Ko Tujhe Pane Ki Gustaakh Chaahat
To Khud Par Phir Se Kayi Sitam Kar Ke Nikla Hoon
Khud Ko Bana Liya Pattharmaati Ka Kamjor Putla Nahi
Dil Me Panpe Ehsashon Ko Khatam Kar Ke Nikla Hoon
Waqt Ke Sath Badal Jate Hain Logbadalti Hai Chahaten
Tujhe Nahi! Aaj Maut Ko Apna Sanam Kar Ke Nikla Hoon
Kahin Roshan Chehre Hue Hainkahin-ŗghayal-aankhen
Apne Pyar Ke Lamhon Ka Sar Kalam Kar Ke Nikla Hoon