Tere Gham Se Sang-Zaaro Ke Kaleje Kat Chuke
Gehre Gehre Hat Chuke Gunjaan Badal Chat Chuke
Rooh Ke Saakin Samunder Mein Talatim Aa Gaya
Zindagi Ke Murdah Honto Par Tabassum Aa Gaya
(Talatim=laher,Mauj)
Woh Jahan Bhi Aaj Tere Zikr Par Majboor Hain
Jo Dayar-E-Maah-0-Anjum Se Bhi Koso Duur Hain
Zahen Mein Manzil Muaiyyen Ho To Jachta Hai Safar
Har Qadam Par Warna Rukti Hai Thithakti Hai Nazar
Sher Ke Dhaare Mein Beh Lekin Na Yun Ruk-Ruk Ke Beh
Tujh Ko Kehna Hai Agar To Barmala Keh,Khul Ke Keh
(Barmala=zahir Tor Par)
Ae Mere Humdum, Mere Saathi,Mere Humraaz Sun
Shayri Ke Saaz Ki Baithi Hui Awaaz Sun
Zakhm-Awar Ungliyo Ki Teziyan Kis Kaam Ki
Ibteda Se Sun Raha Hu Hichkiya Anjaam Ki
Hum Ne Aise Waqt Mein Thama Baghavat Ka Alam
Jab Jala Leta Hai Qandeel-E-Amal Sadiyo Ka Gham
Hum Ne Aise Waqt Mein Jaanche Hain Fitrat Ke Usool
Nau-Jawaan Jab Zar Ke Badle Aag Karte Hain Qabool
Hum Agar Ab Bhi Haqeeqat Ko Haqeeqat Jaan Le
Kya Ajab Hai Is Tadap Ki Maslehat Pehchaan Le