Tere Galle Mein Jo Bahoon Ko Dhaal Rakte Hain
Tujhe Mananey Ka Kaisa Kamaal Rakte Hain
Tujhe Khabar Hai Tujhe Soochne Ki Khatir Hum
Buhat Se Kaam Muqaddar Pe Taal Rakte Hain
Koi Bhi Faisla Hum Sooch Kar Nahi Karte
Tumhare Naam Ka Sikhah Uchaal Rakte Hain
Tumhare Baad Yeh Aadat Sii Hogai Apni
Bikhartey Sookhte Pathe Sambhaal Rakte Hain
Khushi Sii Milti Hai Khud Ko Aziyatein De Kar
Soo Jan Bhooj Ke Dil Ko Nidhaal Rakte Hain
Kabhi Kabhi Woh Mujhe Hans Ke Dekh Laite Hain
Kabhi Kabhi Mera Behadh Khayaal Rakte Hain
Tumhare Hijhar Mein Yeh Haal Hogaya Apna
Kisi Ka Khat Ho Usse Bhi Sambhaal Rakte Hain
Khushi Mile Toh Tere Baad Khush Nahi Hote
Hum Apni Ankh Mein Har Dum Malaal Rakte Hain
Zamane Bar Se Baachah Kar Woh Apne Anchal Mein
Mere Wajood Ke Tukkre Sambhaal Rakte Hain
Kuch Iss Liye Bhi Toh Be Haal Hogaye Hum Log
Tumhari Yaad Ka Behadh Khayaal Rakte Hain