Tere Firaq Ka Dil Ko Malal Aisa Tha
Ke Uske Baad To Lamha Bhi Saal Jaisa Tha
Main Kis Se Huwe Zakhm Zakhm Tere Baad
Tera Wajood Mere Jaan Dhaal Aisa Tha
Bas Aik Bar Mile Phir Kabhi Na Mil Paye
Judai Ban Gaye Qismat Wisal Aisa Tha
Gham Ke Sath Raheen Talkhiyan Zamanay Ke
Ulajh Ke Rah Gaye Taqdeer Jaal Aisa Tha
Dharak Utha Tha Achanak Hawa Ke Dastak Per
Tere Firaq Main Kuch Dil Ka Haal Aisa Tha
Mujhe Ko Ake Woh Mere Khawab Sunata Tha
Woh Mera Dost Mera Hamkhayal Aisa Tha
Woh Jaraha Tha Magar Rat Jagey Bhi Sonp Gaya
Mere Ankhon Ka Us Ko Khayal Aisa Tha
Woh Jhoot Bol Ke Bhi Lajawab Kar Deta Tha
Ajeeb Shakhs Tha Us Main Kamal Aisa Tha
Sitam Bayan Karon Kis Tarhan Se Main Sarwat
Woh Bewafai Main Apni Misal Aisa Tha..