Tere Daryaa Dilii Kaa Shukriyaa Sad_haa! Magar Ai Dost!
Apaahij Hun To Kyaa Yeh Honsalaa Tootaa Naheen Ab Tak,
Sahaaraa Tere Kaandhon Kaa Abhee Mujhko Naheen Darkaar,
Abhee Kuchh Jaan Baakee Hai, Use Jee Lun Phir Aa Jaanaa!
Main Buzdil To Naheen Laikin Kabhee Yeh Aankh Nam Ho To,
Main Khud Se Haar Jaaun Aur Iskaa Mujh Ko Gham Ho To,
Tire Kaandhe Ki Mujhko Tab Zarurat Hon To Aa Jaanaa,
Miree Him’mat Kee Baisaakhee Agar Toote To Aa Jaanaa!
Mujhe Rone Ko Teraa Aik Kaandhaa Hee Bahut Hogaa,
Magar Ik Aur Bhee Tujh Se Guzaarish Hai Mire Pyaare,
Ki Ik Din Aur Apnaa Besh-Qeemat Waqt Adaa Karnaa,
Woh Ik Pal Jis Pe Apnaa Ikhtiyaar Hotaa Naheen Hai Tab,
Ki Yeh Saanson Ki Doree Jab Jigar Se Chhuta’tii Hai Tab,
Tuu Apne Saath Us Pal Teen Kaandhe Aur Le Aanaa,
Abhee Kuchh Jaan Baakee Hai, Use Jee Lun Phir Aa Jaanaa!