Tere Chehre Pe Udasi Ka Sabab Hai Koi
Be Wajha Mujh Pe Bigar Ne Ka Sabab Hai Koi
Aaine Mein Bhi Nahi Dekha Khud Ko Besabab
Es Tarha Har Sard Chizo Ko Taak Ne Ka Sabab Hai Koi
Mehbub Ke Sine Pe Bezar To Rahe Na Kabhi
Karwate Aaj Tahe Bistar Badalne Ka Sabab Hai Koi
Hosla Dete The Jo Auro Ko Musibat Mein Aksar
Unki Palko Pe In Aasuo Ka Sabab Hai Koi
Khamoshi Gawara Na Thi Jinko Kabhi Ghar Mein
Unka Yun Afsurdah Hone Ka Sabab Hai Koi
( Afsurdah — > Depress )
Kehte Ho Ke Na Pucho Mujhse Meri Udasi Ki Wajha Kamsin
Ab To Lagta Hai Ye Raaz Na Batane Ka Sabab Hai Koi