Tere Bewafa Ho Jane Ke Baad Bhi
Tujhe Pyar Karte Hai,Tu Gujar Gaya
Beshak Hamari Raaho Se Par Phir Bhi
Tera Intzaar Karte Hai
Tune Maangi Na Kabhi Badua Bhi Hamare
Liye,Ham Hai Ek Deewane Jo Teri Khushi
Ki Fariyaad Har Pal Karte Hai,
Kabhi Dekh Hame Tere Hothon Pe Hassi
Nahi Aati,Aur Ye Aankhein Meri Din Raat
Tere Naam Ke Aansoo Bikeherti Hai,
Pyar To Tune Bhi Kiya Tha Hamse Par Shayad
Wo Tera Dikhawa Tha,Hamari Mohabbat Ki Sachhai
Ko Dekh Chand Tare Bhi Iski Gavahi Bharte Hai,
Sach Kehte Hai Log Heer Ranjha Ke Jaisa Aab
Koi Bann Nahi Sakta,Kyunki Aab To Mohabbat
Me Sirf Dikhawe Tamashe Hote Hai,
Tune Konsa Wafa Nibhayi Hai Hamse,Ek Ham Hai
Jo Aaj Tak Tujhse Wafa Ki Umeed Karte Hai,
Kabhi To Tu Meri Mohabbat Ko Tassali Dega Isi
Baat Ka Intzaar Karte Hai,
Ye Nahi Ki Zindagi Me Aur Aache Log Nahi Par
Jane Kyun Ham Aur Ye Hamara Dil Sirf Tujhe Hi
Pyar Karte Hai,
Bahut Farak Hai Teri Aur Meri Kismat Me, Tu Use
Thukra Raha Hai,Jo Tujhe Pyar Karta Hai,Aur Ham
Uske Hue Ja Rahe Hai Jo Hame,Thukra Raha Hai