Tere Bagair Sard Mausamon Ke Khushgawar Din Udaas Hai,
Fiza Mein Dukh Racha Hua Hai,
Hawa Koi Udaas Geet Gunguna Rahi Hai,
Phool Ke Labon Par Pyaas Hai,
Aisa Lagta Hai,
Hawa Ki Aankhein Rote Rote Khushk Ho Gayi Ho,
Saba Ke Dono Haath Khali Ho,
Ke Sheher Mein Tera Koi Pata Nahi,
Saans Lena Kitna Mahaal Hai,
Udaasiyan Udaasiyan Ajab Haal Hai,
Tamam Sabz Sayya-Dar Pairon Ne,
Tere Bagair Wehshaton Mein Apne Perahan Ko Tar Tar Kar Diya,
Ab Kisi Shajr Ke Jism Par Qubba Nahi,
Sookhe Zard Patte,
Koo Ba Koo Teri Talash Mein Bhatak Rahe Hai,
Mere Darichon Mein Gulabi Dhoop Roz Jhankti Thi,
Magar Uski Aankhon Mein,
Wo Jagmagahatein Nahi,
Jo Tere Waqt Mein Zameen Ke Sabeeh Maathe Par,
Soorajon Ki Kehkashan Sajane Aati Nahi,
Zameen Bhi Meri Tarah Hi,
Tere Bagair Iski Kokh Se Bhi Ab,
Koi Gulaab Ug Na Payega,
Zameen Banjar Ho Gayi Thi Aur
Meri Rooh Ke Bahaar Aafreen Kokh Bhi,
Meri Soch Ke Sadaf Mein,
Fan Ke Sache Moti Kis Tarah Janam Liya Karein,
Keh Main Sarapa-E-Tashnagi Hoon,
Aur Door Tak, Visaal-E-Abr Ki Khabar Nahi,
Mere Aur Tere Darmiyan,
Paanch Paaniyon Ke Des Mein,
Kachhe Ghade Bhi To Meri Dastars Se Door Hai,
Main Kis Tarah Sher Kahoon,
Meri Soch Ke Badan Kotu Namoo To De Ke
Main Tere Bagair Ek Sehra Hoon.