Tere Baagon Ki Thhi Mein Ek Nazuk Daali,
Kaat Kaar Tune Kyun, Mujhe Alag Kar Daali,
Naye Baag Mein Bhir Mujhe Lagaya Gaya,
Phir Se Sincha Phir, Ugaayaa Gaya,
Tere Baagon Ki Thhi Mein Ek Nazuk Daali.
Phool Phir Mere Bhi Chaman Mein Khile,
Gul, Gulshan, Gulfaam Banaayaa Gaya,
Tere Baagon Ki Thhi Mein Ek Nazuk Daali.
Shaakh Meri Bhi Phir Yun Kaati Gayi,
Naye Baag Mein Phir Se Use Lagaaya Gaya,
Tere Baagon Ki Thhi Mein Ek Nazuk Daali.
Kesi Kismaat Hai Kesi Majbooree,
Mujhe Maalee Se Door Layaa Gaya,
Tere Baagon Ki Thhi Mein Ek Nazuk Daali.
Reet Duniyaan Ki Ye Puraani Hai,
Nasaal Age Bhi Jo Chalaani Hai,
Tere Baagon Ki Thhi Mein Ek Nazuk Daali.
Phool Khil Te Hai Kahin, Or Kahi Sajayagaya,
Ye Hi Duniyaan Hai, Yun Hi Ham Bhi Milte Hai,
Tere Baagon Ki Thhi Mein Ek Nazuk Daali.
Betiyaan Pholoon Jesi Hai Sabhi Ki Sunlo,
Apne Babul Se, Door Prdes Lejayaa Gaya,
Tere Baagon Ki Thhi Mein Ek Nazuk Daali.
(Bibbo) Aaj Roo Rahi Hai Yaad Mein Unki Tanha,
Jin Ko Aaj Tak Dil Se Na Bhulayaa Gaya,
Tere Baagon Ki Thhi Mein Ek Nazuk Daali.

By Hameeda Ameer