Tera Pehli Nazar Mein Mujhey Apna Banana Bahut Hua
Teri Har Baat Pe Iss Dil Ka Lut Jana Bahut Hua
Chup Chap Nibatey Rahey Wada-E-Ulfat “Humtum”
Tera Mujhey Nazaroon Se Girana Bahut Hua
Vo Shazhar Jha Mil Ke Baith-Te The Hum-Tum
Usski Pnahon Mein Aaj Kud Ko Rulana Bahut Hua
Bsali Duniya Tere Sahar Se Duur Kahi
Ab Tere Sahar Mein Thokrein Khana Bhut Hua
Aab Laut Chala Hai Apni Mazil Ki Oor “Humtum”
Rahoon Mein Teri Thokar Khaana Bahut Hua
Gairon Pe Karam, Humpe Sitam, Uspe Berukhi Teri
Tera Har Baat Pe Meri, *Sang Uthana Bahut Hua
Jalaa Ke Raakh Kiya Teri Tishnagi Ne Ae Sitamghar
Tera Khumar-E-Dil Ko Yoon Jalana Bahut Hua
Gar Kazaa Hi Taur Tujhe Pane Ka Mere Habeeb
Tau Bin Afsos Mera Lut Jana Bahut Hua
Cheen Lo -Ë—humtum-‘ Kee Aankhon Se Uske Khwaab
Teri Yaadon Mein Shab-O-Roz Kasakna Bahut Hua
Yaad Ker-Ker Ke Usko Rotey Rahna Shab Bar “Humtum”
Ik Vasl Ki Chah Mein Yaad Khuda Ka Aana Bahut Hua
Vasl = Mulakaat‚  *Shazhar = Tree
Shab = Raat‚  *Sang = Pathar