Tera Khayaal Hi Detaa Hei Ab Qaraar Mujhe
Warnahn Kuch Nahin Lagtaa Hei Khushgawar Mujhe.
Rah-E-Hayaat Mein Kab Saath‚  Gi Mera
“Too Meri Jaan Hai Kyaa Tera Aitbaar Mujhe.
Dil-E-Hazeer Ko Bahut Yaad Aarahaa Hai Koiee
Na Cheer Baad-E-Sabaa Aake Baar Baar Mujhe.
Wo Jeetkar Bhi Bahut Muztarib Nazar Aayaa
Yeh Daikhkar Badi Achchi Lagi Hai Haar Mujhe.
Zamaana Hogayaa Lekin Kashish Nah Khatm Huyi
Pukaartaa Hei Abhi Tak Mera Dayaar Mujhe
Mere Hi Khoon Se Seenchaa Gayaa Thaa Usko Magar
Nahin Hai Aaj Gulistan Par Ikhtiyaar Mujhe .
Mera Khayaal Thaa Kardegi Mundami Saare
Hazaar Zakhm Magar Degi Bahaar Mujhe .
Naa Aayien Mushkilen Koi Bhi Raah Mein
Mile Hein Jaada-E-Haq Mein Bahut Se Daag Mujhe
Ajeeb Kashmakash-E-Zindagi Kaa Hai Aalam
Na Mard Mere Andar Kaa Intishaar Mujhe
Wo Ik Sukoon Bharaa Pal Mujhe Kabhi Na Milaa
Tamam Umr Rahaa Jiskaa Intizaar Mujhe