Tera Jaisa Mera Bhi Haal Tha, Na Sukoon Tha Na Qarar Tha
Yehi Umer Thi Meray Ham Nasheen K Kisi Say Mujhko Bhi Pyar Tha
Mein Samaj Raha Hun Teri Kasak, Tera Mera Dard Hai Mushtarak
Issi Gham Ka Tu Bhi Aseer Hai, Issi Dukh Ka Mein Bhi Shikaar Tha
Faqt Aik Dhun Thi Ke Raat Din Ussi Khawab-Zar Mein Gum Rahein
Woh Suroor Aisa Suroor Tha, Woh Khumaar Aisa Khumaar Tha
Kabhi Lamha Bhar Ki Bhi Guftagoo Meri Uskey Saath Na Ho Saki
Mujhay Fursatein Nahin Mil Sakein, Woh Hawa Ke Ruth Par Sawar Tha
Ham Ajeeb Tarz Ke Log Thay Ke Hamarey Aur Hi Rog Thay
Mein Khazan Mein Uska Tha Muntazir, Ussey Intezar-E-Bahar Tha
Issey Parh Ke Tum Na Samaj Sakey Ke Meri Kitab Ke Roop Mein
Koi Karz Tha Kayee Saal Ka, Kayee Rat Jagoun Ka Udhaar Tha