Tera Gham Jab Aankho Main Utarta Hai,
Koi Bekasoor Ansu Ghar Se Nikalta Hai……
Tere Saath Beet-Ti Hai Sadiya Palon Main,
Intzaar Main Pal Sadiyon Main Guzarta Hai……
Andheri Zindagi Main Tere Qadmon Ki Aahat,
Kaya Amavas Main Bhee Chand Nikalta Hai……
Main Gir Raha Hoon Mujhe Girne De Sakki,
Tere Pehlu Main Aake Bhee Koi Sanbhalta Hai…..
Nada Ho Pyar Main Sakoone Dil Dhondhte Ho,
Yeh To Wo Phool Hai Jo Sehra Main Khilta Hai……
Shayad Gehra Zakham Mila Usko Chaman Main,
Jo Saksh Phoolon Se Bhe Bach Bach Ke Chalta Hai…….
Shaam Dhale Teri Yaadain Dar Pe Dastak Deti Hai,
Tera Surkh Dupatta Orahe Jab Suraj Dhalta Hai……
Ho Sake To Badlo Tum Apna Chhehra ‘Veer’,
Aiyne Ki Aadat Hai Wo To Saach Kehta Hai………
Appke Jababo Ke Qadmon Ki Aahat Ke Intzaar Main.