Tej Fashion Ke Hai Raftar Khuda Khair Kare.
Naar Bhee Aate Hain Nazar Naar Khuda Khair Kare.
Jeb Par Teri Havaldar Khuda Khair Kare.
Surkh Hai Satte Ka Bepar Khuda Khair Kare.
Ek Jape Main Huve Ek Mahila Ko Huve Chhe Bachhe.
Hai Ye Paper Main‚  Samachar Khuda Khair Kare.
Dushman Ke Liye Sarahad Pe Lagayen Hum Fozen.
Aur Ghar Main Chale Talwar Khuda Khair Kare.
Mujhse Puchho Ke Hain Shetan Se Badkar Woh Log.
Sab Jinhe Samjhe Hai Avtar Khuda Khair Kare.
Jinse Janta Ne Lagai Hai Badi Ummiden.
Woh Hain Kursi Ke Talabgar Khuda Khair Kare.
Jitna Karta Hun Parivar Niyojan Pe Amal.
Utna Badta Hai Parivar Khuda Khair Kare.
Maine To Yun Hi Kaha Tha/ Ke Hun Main Bhi Mansur.
Log Le Aaye Sare Dar Khuda Khair Kare.
Tode Shayr Khud Hi Bahror Vazan Ki Bandish.
Fan Ke Dushman Huve Fankar Khuda Khair Kare.
Sunte Hain Gati Hai Tanhai Mai Kuch Chhokriyan
Heera Indori Ke Ashaar Khuda Khair Kare.