Teergi Ke Jungle Mein Kum Nahi Hai Ik Jugnu
Tum Bas Apnay Hissay Ka Ik Diya Jala Dainaa
Phul Khilte Hain Khil Kar Bikhar Jatay Hain
Yadein Reh Jati Hain Insan Bicharr Jate Hain
Mere Mazar Par Aa Kar Diye Jalaye Gi
Wo Mere Baad Meri Zindugi Mein Aye Gi
Phir Raha Hun Shauk Ke Darya Mein Be Qarar
Khud Hi Ai Manzilon Ab Dhundh Lo Mujhe
Badla Wafa Ka Dein Gey Bari Saadgi Se Hum
Tum Hum Se Rooth Jaao Gey Aur Zindagi Se Hum
Manzil Ki Tamanna Hai To Darkar Hai Jurr’at
Raste Se Hata Dijye Jo Sung E Giran Ho.
Kaun Kehta Hai Maut Ayi To Mar Jaunga
Mein To Darya Hun Samundar Meun Utar Jaunga
Jahan Rahe Ga Waheen Raushni Lutaye Ga
Chiragh Ka Apna Koi Makan Nahi Hota
Dil Hi To Hai Sung O Khusht Se Na Bhar Aye Kyun
Royen Ge Hum Hazar Baar Koi Hamein Sataye Kyun
Yahan Kisi Ko Bhi Hasb E Aarzu Na Mila
Kisi Ko Hum Na Mile Aur Koi Humko Na Mila
Subha Sadiq Mein Bahut Der Nahi Lekin
Apni Ujlat Mein Chiraghon Ko Bujha Mat Dena
Dunya Se Na Ye Rusm Nibhi Chund Baras Bhi
Hum Samjhe Thay Hamein Yad Kya Jata Rahega
Zindagi Meri Lughat Mein Chand Se Chehron Ki Chup
Chandni Yaroon Ki Khush Paishanyon Ka Naam Hai
Ragon Mein Khoon Ki Garmi Ka Maujza Hai Tamam
Wagarna Aadmi Pathar Se Mukhtalif To Na Tha.
Wo Sar Se Pehle Zuban Kaat Lya Karte Hain
Ke Khuda Se Na Kare Koi Shikayat Unki
Sanson Ke Silsile Ko Na Do Zindugi Ka Naam
Jeenay Ke Bawajood Bhi Kuch Loog Marr Gaye
Bant Na Daloon Khud Ko Mein Daman Daman
Kar Dya Tu Ne Agar Mera Hawala Mujhko
Mein Apni Pyas Ke Qadmon Se Napoon Gi Kahan Tak Hai
Ye Sehrah Dushmani Ka, Dusht Laa Mehdood Nafrat Ka.
Dhuaan Bana Ke Hawa Mein Urra Dya Mu Jko
Mein Jal Raha Tha Kisi Ne Bujha Dya Mujhko
Jaisi Bhi Hun Bhali Hun Ke Buri Hun Apne Liye Hun
Mein Khud Ko Nahi Dekhtee Auron Ki Nazar Se
Kitni Bojhal Hai Fiza Yaron Ko Andaza Nahi Hai
Khirrkyan Ab Bund Kardo Ke Hawa Taza Nahi Hai
Aaghaz To Hota Hai Anjam Nahi Hota
Jab Meri Kahani Mein Wo Nam Nahi Hota
Kehne Ko Zindugi Thi Bahut Mukhtasar Magar
Kuch Yun Basar Hui Keh Khuda Yaad Aa Gaya
Sanson Mein Bhi Shamil Ho Lahu Mein Bhi Rawan Ho
Lekin Mere Haathon Ki Lakeeron Mein Kahaan Ho
Rasm E Ulfat Hi Ijaazat Nahin Deti Warna
Hum Bhi Aisa Bhoolein Ke Sada Yaad Karo
Woh Shakhs Meri Lash Pe Aaya, Na Ro Saka
Uss Ko Merey Sukoon Ka Kitna Khayaal Tha
Ya Khuda Log Banaaye Thay Agar Pathar Kay
Meray Ahsaas Ko Sheesha Na Banaya Hota
Woh Ashk Ban Ke Meri Chashm E Tar Mein Rehta Hai
Ajeeb Shakhs Hai Paani Ke Ghur Mein Rehta Hai
Acha Khasa Baithey Baithey Gum Ho Jaata Hoon
Ab Mein Aksar Mein Nahin Rehta Tum Jaata Hoon
Ahsas Ka Andaz Badal Jaata Hai Warna
Anchal Bhi Ussi Taar Se Banta Hai Kafan Bhi
Seeney Se Merey Zeher Utarney Nahin Detey
Zinda Rahein Woh Loug Jo Marney Nahin Detey
Tum Nahit O Zindugi Mein Aur Kya Reh Jaye Ga
Door Tak Tanhayion Ka Silsila Reh Jaye Ga
Qasam Khuda Ki Mohabbat Nahi Aqidat Hai
Diyar E Dil Mein Barra Ehteram Hai Tera
Qais Jungle Mein Akela Hai Mujhe Jaane Do
Khub Guzaregi Jo Mil Baithenge Dewaane Do
Duniya Ko Dekhti Rahi Jis Nazar Se Main
Us Aankh Mein Mere Liye Pehchan Bhi Na Thi
Jin Doston Se Ham Ko Tawaqqa Wafa Ki Thi
Woh Dost Dil Se Naqsh E Wafa Tak Mita Gaye
Yaa Rab Zamana Mujh Ko Mitata Hai Kis Lyel