Taza Mohabbaton Ka Nasha Jism-O-Jaan Mein Hai
Phir Mausam-E-Bahar Mere Gulistaan Mein Hai
Ek Khvaab Hai Ke Baar-E-Digar Dekhte Hain
Ek Aashnaa Sii Raushnii Saare Makaan Mein Hai
(Baare-Digar : Once Again; Aashnaa : Known)
Ek Shaakh-E-Yaasmiin Thii Kal Tak Khizaan-Asar
Aur Aaj Saaraa Baagh Usii Kii Amaan Mein Hai
(Shaakh-E-Yaasmiin : Branch Of Jasmine; Khizaan-Asar : Autumn Afflicted)
Taabish Men Apnii Mehr-O-Maah-O-Najm Se Sivaa
Jugnuu Sii Ye Zamiin Jo Kaf-E-Aasmaan Mein Hai
(Taabish : Brilliance; Mehr-O-Maah-O-Najm : Moon, Sun And Stars; Kaf-E-Aasmaan : Under The Skies)
Khushbuu Ko Tark Kar Ke Na Laaye Chaman Men Rang
Itnii To Suujh-Buujh Mere Baaghbaan Men Hai
Har Jaanisaar Yaad-Dihaanii Men Munhamik
Nekii Kaa Har Hisaab Dil-E-Dostaan Mein Hai
(Munhamik : Busy)
Baithe Rahenge Shaam Talak Tere Shiishaagar
Ye Jaante Hu-‘e Ke Khassaaraa Dukaan Mein Hai
Masnad Ke Itne Paas Na Jaaye Ke Phir Khale
Vo Be-Talluqii Jo Mizaaj-E-Shahaan Mein Hai