Taskeen-E-Dil-E-Mahzoon Na Hoi–Wo Saa’e-E-Karam Farma Bhi Gaya
Iss Saa’e-E-Karam Ko Kiya Kehiye–Behla Bhi Gae Tarpa Bhi Gaya
Kuch Gham Ka Madawa Ho Na Saka–Kuch Dard Ki Tasalli Ho Na Saki
Wo Bazm-E-Wafa Mein Aaye Bhi–Tarpa Bhi Gae Behla Bhi Gaya
Ye Rang-E-Bahar-E-Aalam Hai–Kiyon Fikr Hai Tujh Ko Aay Saaqeey
Mehfil To Teri Sooney Na Hooee–Kuch Uth Bhi Gae Kuch Aa Bhi Gaya
Iss Aalam-E-Kaif-O-Masti Mein–Iss Anjuman-E-Irfani Mein
Sub Jaam Bakuf Baithay He Rahay–Hum Pi Bhi Gae Chalka Bhi Gaya
Kiya Tujh Ko Khabar Hai Hum Kiya Kiya Gardish-E-Doran Bhool Gaya
Wo Deeda-E-Garyan Bhool Gae Wo Zulf-E-Raishan Bhool Gaya
Ye Apni Wafa Ka Aalam Hai Ub Unki Jafa Ko Kiya Kehiye
Ek Nashtar-E-Zeher-Aagein Rakh Kar Nazdeek-E-Rag-E-Jaan Bhool Gaya
Ay Shoq-E-Nazara Kiya Kehiye Nazroon Mein Koi Soorat He Nahin
Ay Zoq-E-Tassawur Kiya Kijay Hum Soorat-E-Jaanan Bhool Gaya