Tarq-E-Mohabbat Apni Khata Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,
Wo Ab Bhi Paband-E-Wafa Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,
Darwaze Par Aahat Sunkar Uski Taraf Kyon Dhyaan Gaya,
Aane Wali Sirf Hawa Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,
Haal-E-Pareshaan Sunkar Mere Ankh Mein Uska Aansu Hai,
Maine Usse Jhooth Kaha Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,
Arz-E-Talab Par Uski Chup Se Zahir Hai Inkaar Magar,
Shayad Wo Kuch Soch Raha Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,
Khoon-E-Tamanna Karna Uska Sheva Hai Manzoor Magar,
Haath Mein Uske Rang-E-Heena Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai