Tanhayi Se Chal Kar Tanhayi Mein Kho Jaate Hain
Na Jaane Kyun Mere Kadam Itne Majbur Ho Jaate Hain
Bhula Kar Usse Phir Ussi Ko Yaad Karte Hain
Mere Zakhm Bhi Jaise Uske Mohtaaj Ho Jaate Hain
Sookh Kar Kayi Baar Phir Behne Lagte Hain
Ye Aansu Bhi Jaise Uske Deedar Ko Taras Jaate Hain
Khamosh Ho Kar Bhi Zuban Par Chale Aate Hain
Ye Lafz Bhi Jaise Ussi Se Kuch Kehna Chahte Hain
Dard Ko Aksar Baandha Hai Maine Muskurahat Mein
Shayad Bebas Ho Kar Hi Ye Ehsaas
Mere Naghmon Mein Utar Jaate Hain