Tanhaion Main Abhi Bhee
Zinda Hai Jazba-E-Insaan
Bhar Jata Saans Jo
Dum Torti Sadaqat Main
Aur Nighain Umeed Ki
Phir Say Khwaab Buna Karti Hain
Tujh Sa Jab Bhee Koi
Mil Jata Hai Rah-E-Zindagi Pay
Phir Say Sar Uthanay Lagti Hain
Raakh Hoti Si Baghawatain
Wo Dard Jisay Sula Aayaa Thaa Main Chupchap
Wo Dard Aaj Phir Kasmasata Hain
Aur Nasl-E-Adam Ko Bhee To Azal Say Har Baar
Milta Raha Hai Kuch Isi Wajah Say
Phir Phir Say Jeenay Ka Maqsad