Tanhai Mein Baithkar Teri Yaad Aaye
Mujhe Tanhaiyon Se Nafrat Hoti Hai
Phoolon Ki Mehek Jab Teri Yaad Dilaye
Mujhe Gulistaano Se Nafrat Hoti Hai
Hawa Ke Jhonke Tere Pass Hone Ka Ehsaas Dilaye
Mujhe Aisi Hawaaon Se Nafrat Hoti Hai
Har Raat Jo Teri Yaad Mein Jaag Kar Guzaari
Mujhe Raaton Se Nafrat Hoti Hai
Jiski Chamak Mein Raat Bhar Tera Chehra Dikhayi De
Mujhe Uss Mahataab Se Nafrat Hoti Hai
Ek Naya Din Teri Nayi Yaad Layega
Mujhe Savero Se Nafrat Hoti Hai
Jiski Kirane Meri Zindagi Mein Roshni Na La Sake
Mujhe Uss Aftaab Se Nafrat Hoti Hai
Bheeg Bheeg Kar Bitaye The Kuch Lamhe
Barsaat Hi Nahi Mujhe Har Mausam Se Nafrat Hoti Hai
Tu Nahi Hai Meri Zindagi Mein
Tere Tohfo Se Nafrat Hoti Hai
Kyon‚  Nahi Hai Ab Meri Zindagi Mein
Doston Ke In Sawaloon Se Nafrat Hoti Hai
Haath Tham Kar Kiye The Jo Tune Waade
Mujhe Apne Har Ang Se Nafrat Hoti Hai
Teri Pasand Ke Rang Ka Jo Libaas Mujh Par Jache
Mujhe Har Rang Se Nafrat Hoti Hai
Meri Payal Ki Jis Chankaar Par Tera Dil Aaya Tha
Tujhe Jo Pasand Ho Har Dhun Se Nafrat Hoti Hai
Jala Rahi Hu Teri Saari Tasveere
Mere Dil Mein Base Tere Aks Se Nafrat Hoti Hai
Meri Zindagi Se Duur Ja Kar Bhi Meri Zindagi Mein Hai
Teri Aisi Maujudgi Se Nafrat Hoti Hai
Mere Chehre Par Chod Gaya Hai Jo Udaasi Tu
Muskurane Waale Har Shaqs Se Nafrat Hoti Hai
Chah Kar Bhi Has Nahi Paa Rahi Hu
Mujhe Aisi Ghutan Se Nafrat Hoti Hai
Na Jaane Kaise Pagal Pan Mein Likh Rahi Hu
Tere Naam Ki Gayi Apni Har Nazm Se Nafrat Hoti Hai
Haathon Ki Lakeero Ko Noch Kar Tujhe Zindagi Mein Layi Apni
Mujhe Apne Naseeb Se Nafrat Hoti Hai
Tujhe Bhulane Ki Koshish Mein Nakamyaabi Hasil Ho
Apni Is Lachaari Se Nafrat Hoti Hai