Tanhai Ka Ek Daur Yeh Bhee Hai
Ki Tum Her Lamhaa Mere Kareeb Rahe
Hazaaron Raaste Nikale Thee Tumse Dur Jaane Ke
Magar Her Raasta Mera To Tum Tak Hi Pahunchta Hai
Yeh Kaisi Bekaraari Hai Yeh Kaisi Mohabbat Hai
Ki Mujhse Dur Ho Lekin Base Ho Dil Mein Tum Mere
Tumharii Dosti Who Naadaani Tumhaari Thi
Aur Humne Zindagi De Dii Tumharii Is Sharaarat Per
Teri Baatein Teri Yaadein Meri Duniyaa To Bas Yahiin Tak Hai
Jab Jab Raat Ko Karwat Lete Dekha Hai To Aisa Mehsus Huaa Hai
Jaise Ki Hum Zindagi Se Dur Aur Umr Ke Kareeb Pahuch Rahe Hain
Meri Zindagii Ka Safar To Tanhaa Hai Meri Raahon Mein Andheraa Hai
Kahin Thokar Na Lagi Kahin Koi Mausam Naa Chode
Bas Chaandni Aati Rahi Yaadon Ke Jharokhon Se
Jab Jab Din Ko Shaam Mein Badalte Dekhaa Hai
Shaam Ko Raat Mein Raat Ko Subah Mein Aur Fir Subah Ko Din Mein
To Mein Yeh Nahi Jaan Paayii Ki Mein Kaun Se Pehar Apne Kareeb Thi
Yahaan Se Wahaan Tak Chand Kadmon Ka Hi To Faaslaa Hai
Magar Tum Tak Jo Pahunchaa De Woh Kaun Sa Kadam Hoga