Tanhaai Meri Kyun Chaarsoo (Ilaj) Nahi Hoti
Is Shahar Mai Ab Ha-O-Hu (Shorsharaaba) Nahi Hoti
Karke Dekhi Hai Maine Koshish Kain Baar Sanam
Be-Wafai Par Meri Khu.N (Aadat) Nahi Hoti
Pahle Patjhad Bhi Dila Jata Tha Bahaaron Sa Sokoon
Ab Bahaare Bhi Meri Harsoo Nahi Hoti
Kyun Saza Rakhe Hain Kaagfaz Ke Gul Guldaano Mai
Kaagazee Phoolon Mai Kabhi Khusboo Nahi Hoti
Jab Bhi Deti Hai Daga Peechhe Se Deti Kyun Hai
Jindagi Mujhse Kyun Robroo Nahi Hoti
Pahle Hoti Thee Mere Dil Mai Bahut Lekin
Ab Teri Gali Se Guzroon Aarjoo Nahi Hoti
Soch Leta Hun Ke Mai Kya Kahunga Aakhir Mai
Par Kya Karoo Ke Baat Hee Shoroo Nahi Hoti
Kyun Tutata Hai Janhaa Mai Sirf Ek Hee Ka Dil
Ishq Kee Aag Do Dilon Mai Barabar Kyun Nahi Hoti
Mere Dil Mai To Sirf Tera Hee Tusvvoor Hai
Kyun Tere Dil Mai Meri Justjoo Nahi Hoti
-Ë—anish-‘ Ba Bhi Mila Karta Hai Unhi Thikaano Pe
Ye Alag Baat Hai Ke Sath Tu Nahi Hoti