Tanha Hu Aaj Main Phir Tanha Hain Saara Zamaana..
O Duniya Waalo Nahii Hain Iss Tanhai Kaa Koi Dava-Khaana..
Zeher Bhii Nahii Milta Jo Mangta Hu Us Se..
Nakaamiyon Kaa Hu Manzer Hu Gam Kaa Hii Fasaana..
Labo Se Aaj Mere Phir Nikalti Hai Thandi Aahe..
Rukhsaaro Pe Udasi Ashko Kaa Sawan Phir Se Umad Aya..
Gairo Ke Dard Ko Bhii Ham To Apna Bana Lete Hain…
Mgar Ye Kya Hua Kaafir Tune Hii Khanzer Maara…
Tanha Hu Aaj Main Phir Tanha Hain Saara Zamana..
O Duniya Waalo Nahi Hai Is Tanhai Ka Koi Dava-Khana..
Rota Hu Magar Fir Bhi Sakoon Nahi Milta…
Gam-E-Lashkar Dekh In Jalimo Kii Duniya Mein Zeher Bhi Nahii Milta