Tanha Tanha Aaj Bhi Hain..
Tanha Tanha Saawan Mein Yaad Aaj Bhi Hain..
Rim Jhim Rim Jhim Bundein Aayin..
Woh Nagmein.. Woh Baatein Saath Le Aayi..
Tanha Tanha Saawan Mein Yaad Aaj Bhi Hain..
Kabhi The Unke Itne Paas Hum..
Na Tha Duri Ka Koi Ehsaas Tab..
Saansein Humari.. Mehak Unse Aati Thi..
Tanha Tanha Saawan Mein Yaad Aaj Bhi Hain..
Yaad Aa Raha Hai Woh Guzra Zamana…
Woh Humara Ruthna Aur Unka Manaana..
Woh Godi Mein Sar Rakh Ke Unki So Jana..
Tanha Tanha Saawan Mein Yaad Aaj Bhi Hain..
Ghir Ghir Aata Tha Jab Bhi Saawan..
Saath Hote The Tab Jab Hum Saajan..
Woh Bheegna.. Aur Woh Bheegana..
Tanha Tanha Saawan Mein Yaad Aaj Bhi Hain..
Woh Us Mausam Hi Sardi Mein Haath Thaamna..
Woh Haathon Ki Garmi Me Sab Kuch Bhulaana..
Woh Bijli Se Darna.. Aur Darr Ke Lipat Jaana..
Tanha Tanha Saawan Mein Yaad Aaj Bhi Hain..
Woh Bundon Ka Swyamvar Rachaana..
Woh Khud Hi Kehna.. Keh Ke Sharma Jaana..
Woh Har Baat Me Ladna Aur Hasaana..
Tanha Tanha Saawan Mein Yaad Aaj Bhi Hain..
Woh Bheegi Si Subah Mein Apni Palkein Malna..
Woh Bheegein Se Honthon Se Shabnam Churana..
Woh Bundon Se Ek Dusre Ko Bheegona..
Tanha Tanha Saawan Mein Yaad Aaj Bhi Hain…
Woh Baarish Ki Gadgadaahat Woh Bundon Ka Shor..
Woh Paani Ki Behti Dhaara..
Tanha Tanha Saawan Mein Yaad Aaj Bhi Hain…
Woh Zamana Yaad Aata Hai..
To Khushi Aur Dard..Dono Ko Saath Laata Hai..
Aaj Hum Hain Yahan.. Tum Ho Vahan..
Tanha Tanha Saawan Mein Yaad Aaj Bhi Hain…
Yaad Aata Hai Beeta Har Pal Aankhein Nam Kar Jaata Hai..
Kuch Sawaal Phir Laake Saamne Khade Kar Deta Hai..
Tanha Tanha Saawan Mein Yaad Aaj Bhi Hain…
Tanhaai Ka Ehsaas Yun To Har Pal Hota Hai..
Par Saawan Mein Saajan Ke Bina..
Yeh Lamha Sadiyon Ki Judaai Ka Ehsaas Karva Jaata Hai…
Tanha Tanha Saawan Mein Yaad Aaj Bhi Hain…
Tanha Tanha Saawan Mein Yaad Aaj Bhi Hain…
Tanha Tanha Saawan Mein Yaad Aaj Bhi Hain…