Tamam Umar Jali Aur Muskurati Rahi
Ujala Ban Kay Andhairon Pay Roz Chati Rahi
Bani Jo Bazam Ki Raunaq To Raat Bhar Sulgi
Na Janay Kitnay Hi Parwanon Ko Jalati Rahi
Kai Saal Say Piyasi Hai Meh-Khanay Main
Magar Nighah Say Yeh Duniya Ko Pilati Rahi
Meray Galay Na Lago Khak Main Mil Jao Gay
Bade Khaloos Say Dewanoon Ko Batati Rahi
Chiragh Ban Kay Kabhi Tum Bhi Daikh Lo
Be Sharam Mera Hosla Barhati Rahi