“Talib” Ka Kya Jawaab Woh Sahib-E-Hunar Hai,
“Banno” Ki Baat Se Ilaaj-E-Dard-E-Jigar Hai.
Gar Tum “Manoj” Ho To Hai Mehfil Mein Ruankein,
“Mast” Se Hi Bazm Mein Masti Ki Lehar Hai.

Nagmon Ka Khazaana Liye Baithi Hai “Shimul” Bhi
“Paras” Ka Kya Kahoon Woh To Pehle Se Gauhar Hai.
“Sanjoo” Shararaton Ka Hai Shehzaada Yahan Par,
“Meena” To Hum Sabhi Ki Jaise Lakht-E-Jigar Hai.
“Ghayal” Ka Suno Tarz-E-Bayaan Dil Ko Thaam Ke,
“Banjara” Ghum Ki Dhoop Mein Saaya-E-Shajar Hai.
Aap Ke Ashaar Qayaamat Hai “Aman” Ji
Asaan Ba-Anish Dard-O-Ghum Ko Dagar Hai.
“Gunaam” Aap Aaj Nahi Kal Ke Ho Maahir,
Shab-E-Ghum Hai Aur “Chaand” Par Sab Ki Nazar Hai.
Kehde Jo Kuch “Kshitiz” To Woh Ho Jaaye Shaayri,
Baatien Bhi “Musharraf” Ki Ba-Wazan-O-Behar Hai.
Maujood Hai Kuch Aur Bhi Anmol Nageene,
Naam Yaad Nahin Mujhpe Mehfil Ka Asar Hai.
Ashaar Ke Chiraag Ko Rakhna Yunhi Roshan,
Sunte Sunaate Guzartaa Asaan Safar Hai.