Talash Main Sar Gardan Kisse Ke Khayaal Main
Roop Ke Barkhaa Chaye Husan O Jamaal Main
Dar Dar Bhattke Jaan Tanhaayun Ke Jaal Main
Raqas Karein Lab, Khamoshiyun Ke Haal Main
Peyaasi Hain Ahesas Ki Raahein
Man Ki Nagree Be Nishaan Manzil Pe Chal Rahi Hai
Zindagee Apni Khud Hi Ke Ahesas Se Nikal Rahi Hai
Tashnage Chashme Tar Ki Aanhon Main Machal Rahi Hai
Shab O Roz Sehar Chiraaghon Main Jal Rahi Hai
Peyaasi Hain Ahesas Ki Raahein
Ragon Main Seeiahee Ka Hai Basera
Majroh Zindage Ka Yaan Hai Pehra
Gardisho Main Zeesat Ka Hai Sehra
Chahaton Ka Ranag Bhee Hai Ghera
Peyaasi Hain Ahesas Ke Raahin
Ho Koi Rafeeq,Tu Koi Mehar Baan Bhee Ho
Sadyun Se Hai Dhoop Koi Saye Baan Bhee Ho
Dil Jo Kahye Essi Koi Daas Taan Bhee Ho
Mere Qareeb Mera Koi Hum Zubaan Bhee Ho
Peyaasi Hai Ahesas Ki Raahien
Jigar Main Dard Nazar Main Peyaar Laaye
Na Shiq Waa Be Wafaae Na Rona Kaj Adaai
Ho Koi Jaan E Jahaan Shaan E Masse Haai
Bazm E Naz Main Hai Chaya Ahesas E Tanhaai
Peyaasi Hai Ahesas Ki Raahein
Preet Khole Khare Hain Bhaein