Talabgar Ban Ke Nikla Thaa Safar Pe,
Talabgar Hi Rah Gaya Hu,
Manjil Ko Pakar Bhi Tanhai Ka,
Hakdar Rah Gaya Hu,
Aaj Jindagi Ka Safarnama Likhta Hu,
To Ungaliya Kakapati Hai,
Kuch Log Jo Bikhre Panno Se Ud Gaye,
Un Yaro Ki Yaad Aati Hai,
Palke Jukate Hi Dhundle Se Chehre Najar Aate Hai,
Najare Uthate Hi Ankho Se Ojhal Ho Jate Hai,
Pur Ek Sada Kano Mein Gunjati Rahti Hai,
Ki Aye Dost Hum Tere Hi Safar Ke Sathi They,
Ek Duje Ke Saye The , Kadkathi The,
Hum Aaj Bhi Tera Intajar Karte Hai,
Khwabo Mein Tere Chehre Ka Didar Karte Hai
Chahta Hu Ki Phir Wahi Sama Laut Aaye,
Aur Jindagi Mehtab Si Savar Jaye,
Suraj Ka Rath Ulti Dishan Mein Daud Lagae,
Aur Muje Mere Yaaro Ke Bich Chod Aaye,
Pur Ye Tamanna Bhi Marichika Ban Ke Rah Gayi Hai,
Talabgar Ban Ke Nikla Thaa Safar Pe,
Talabgar Hi Rah Gaya Hu!