Takhto Taaj Ke Safar Mein, Dushman Baithe Hain
Sone Ki Chaadar Odhe Durjan Baithe Hain
Heeron Ke Aaine Mein Dhundhe Hai Khudko
Nazrein Utha Ke Dekh Samne Maut Ke Darpan Baithe Hain
Imaartein Hai Unchi, Unche Mahal Hain
Sange Mar Mar Ke Deewarein Farsh Makhmal Hain
Heere Moti Jade Hai, Fir Bhee Bhukhe Dhar Hain
Lobh Ke Baadal Mein Vish Ke Saawan Baithe Hain
Bachpan Mein Jo Aag Lagi, Budhape Mein Bhee Bujhi Nahii
Dhan Sampatti Ki Jo Lalsa Thii, Barson Baad Bhee Hai Wahii
Aur Chahiye, Aur Chahiye, Bahot Kam Hai Mere Paas Abhii
Ab Toh Sambhal Ja, Intzaar Mein Tere Jalte Chandan Baithe Hain
Bhukhe Daridra Ko Pet Bharne Ke Liye Do Roti Chahiye,
Woh Mil Jaye Toh Gadi Bangla Heere Moti Chahiye.
Par Tujhe Kya Pataa Marne K Liye Bas Yam Ki Chunouti Chahiye.
‘Sushil’ Keh De Kuch Nahi Chahiye, Kyoki Yam Toh Tere Aangan Baithe