Suraj Kii Apni Ekk Aag Thii
Abhi To Dhoop Sar Par Thii
Ekk Arse Se Tapti Rahi
Sinae Mai Darare Sahti Rahi
Fir Bhii Phulo.N Ko Mahekati Rahi
Abhi Our Dharti Ko Tapna Tha
Abhi Kya Our Dard Sahna Tha
Kisne Sincha Apne Aanchal Se
Insaan Ne‚  Pucha Phoolon Ko
Badi Aasani Se Kah Diya
Ab Dharti Banjar Ho Gayi
Suraj Bhi Sharmaya
Samaet Li Apni Aag Kii Jholi
Bulayi Kale Badalo Kii Toli
Chham-Chham, Chham-Chham
Paayal Chhankaayi Boondo Kii
Sapt Rango Se Aashmaan Sajaya
Yunh Dharti Kaa Maan Bahelaya
Dhani Chunar Mai Dharti Mushkaai
Lo Saavan Kii Rut Hai Aayi.