Suraj Ke Dhalne Kaa Yeh Drishya
Kitna Anokha Ahesaas Hai
Yeh Ekk Hii Pal Main Bhul Sakti Hoon Aapne Gum Saare;
Aur Isi Ki shan Yaad Aate Muje Sabhi Pyaare
Woh Halka Sa Gulabi,Woh Halka Sa Neela,
Mano Sametta Ho Sare Gum Aur Ho Khushiyon Ka Quila
Woh Halki Barsaat Aana,Woh Indradhanushya Kaa Chaana,
Woh Koyal Kii Meethi Meethi Boli,Yaad Aa Gayi Ma Ki Lori
Woh Paksheeyoon Kaa Chehekna,Woh Phoolon Kaa Mehekna,
Woh Vishal Neela Amber Aisa,Humare Mata Pita Ka Pyaar Jaisa
Woh Paksheeyon Ka Udna,Woh Badal Garajna,
Woh Vimaan Ka Aasma Ko Cheerte Hue Jaana,
Uff Yeh Khubsurat Nazaara Woh Chamakta Tara,
Humari Khushi Ka Pratik,Har Chand Sitaara
Dulhan Si Saji Khubsoorat Yeh Pyaari Raat,
Jaise Kehna Chahti Ho Humse Koi Khas Baat
Naa Koi Gila,Naa Koi Shikwa,
Bas Apnaapan Aur Pyaar,Aisa Mera Chota Sa Sansaar
Woh Thandi Hawa Ka Jhokha, Ne Mere Man Ki Soch Ko Roka,
Mere Chehre Par Chaaee Ek Pyaari Muskaan,
Kyon Kii Yahi Hai Meri Duniyaan,
Khubsoorat Aur Aalishan Ae Khuda
Kya Nazare Banate Ho Aap
Hum Kabhie Kush To Kabhi Jate Hai Kaanp,
Hum Toh Keveal Katputliyaan Hai,
Akhir Nachate Toh Hai Aap