Suna Hain Haath Ki Lakeeren Badal Jati Hai,
Aur Uske Saath Tamannayen Bhi Jal Jati Hai.
Rawayyaton Se Kuch Ukta Si Gayee Hai Shayad,
Khushi Ab Kyon Bina Dastak Tu Nikal Jati Hai.
Rawayat=tradition/customs, Uktana=to Get Fed Up.
Mere Seene Pe Rakh Ke Haath Mujhse Baat Karo,
Warna Tum Tak Pohonchte Baat Badal Jaati Hai.
Apni Tasveer Mujhko Deke Khud Pe Ehsaan Kar,
Baat Dohraaye Bin Zehen Se Nikal Jaati Hai.
Chaaha Tuut Ke Tujhko Aur Tu Chod Gayee,
Kasske Pakdo To Jaise Reyt Fisal Jaati Hai.
Qatil Andaaz Hain Unka Yeh Bhi Kehne Ka,
Aaj Hi Jaye Teri Jaan Jo Kal Jaati Hai”
Waaeez Abhi Na Bata Aasaar-E-Roz-E-Jazaa,
Aisee Baton Se Meri Rooh Machal Jaati Hai.
Waeez=preacher
Asaar-E-Roz-E-Jazaa=qayaamat Ke Asaar
Talib Ek Naav Hai Maalik Tere Iss Dariya Ki,
Mauj-E-Halaat Se Bachkar Jo Uchal Jaati Hai.