Suna Hai Tum Bahout Masrof Ho Masrof B Itne K Fursat Tmse
Milne Ko Tarasti Hai Suno Masrufiat K Paar Kr K
Fursat Se Milne Ka Kbhi Moqa Mile To
Sb Se Pehle Khud Se Milna
Phir Faraghat Ka Koi Lamha Bache To
Gham K Num-Aalood Rasto’n Pr Kahin Se
Dhoop La Rakhna Bhatakti Shaam Se Purwa K Dheemay
Geet Sunna Aahaton Ki Titliyon K Rang Chunna
Baadalon Ki Dhund Me Chhupte Huwe Manzer Se
Tasviren Banana Phr B Agr Fursat Ki Pu’nji Bachi Rahe To
Wqt K Sahil Pe Gili Rait Se Ek Ghar Banan
Hath Ki Mehrab Se Dil K Diye Ki Thartharati Lo Ko
Bujhne Se Bachana Pariyon K Daman Se Lipti Chha’on Me
Mehki Huwi Baaten Chhupana Aur Parindo’n Kichehak Se
Nazam K Misre Banana Ya Pardo’n Ki Oat Se Chhanti Huwi Kirno’n Se
Yadoon Ki Dhanak Bharna Gar Nahi To
Kaasni Phoolo’n Ki Surat Maa’ng K Soone-Pan Me Khilna
Phr B Fursat Mile To Mujh Se Milna