Suna Hai Log Usay Ankh Bhar Kay Daikhtey Hain
So Us Kay Sheher May Kuch Din Theher Kay Daikhtey Hain
Suna Hai Rabt Hai Us Ko Kharab Haloon Say
So Apney Aap Ko Hum Barbaad Kerkay Daikhtey Hian
Suna Hai Dard Ki Gahak Hai Chashm-E-Naaz Uski
So Us Ki Gali Say Bhi Guzar Kay Daikhtey Hian
Suna Hai Us Ko Bhi Hai Shair-O-Shairi Say Shaghaf
So Moo-Ajzey Hum Bhi Apney Hunr Kay Daikhtey Hian
Suna Hai Bolay To Batoon Say Phuul Jhartey Hian
Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kerkay Daikhtey Hain
Suna Hai Raat Usay Chaand Takta Rehta Hai
Sitarey Bam-E-Falak Say Utar Kay Daikhtey Hain
Suna Hai Din May Usay Titliyaan Satati Hain
Suna Hai Raat Ko Jugno Theher Kay Daikhtey Hain
Suna Hai Raat Say Barh Ker Hain Kaakliyaan Uski
Suna Hai Shaam May Saye Guzar Ker Daikhtey Hian
Suna Hai Hashar Hain Uski Ghazaal Si Ankhein
Suna Hai Hiran Usay Dasht Bher Ker Daikhtey Hian
Suna Hai Uski Siyah Chashamgi Qayamat Hai
So Suurma Faroosh Usay Aah Bher Ke Daikhtey Hian
Suna Hai Us Kay Laboon Say Gulaab Jaltey Hain
So Hum Bhi Bahar Per Ilzaam Dhar Kay Daikhtey Hain
Suna Hai Aaina-E-Tamsaal Hai Jabeen Uski
Jo Sadah Dil Hian Usay Ban Sanwar Kay Daikhtey Hian
Suna Hia Jab Say Hamail Hain Us Ki Gerdan May
Mizaaj Or Hi Lal-O-Gauher Kay Daikhtey Hian
Suna Hai Chashm-E-Tasavvur Say Dasht-E-Imkaan May
Palang Zawiye Uski Kamar Kay Daikhtey Hian
Suna Hai Us Kay Badan Ki Tarash Aisi Hai
Kay Phuul Apni Qabayein Qutar Kay Daikhtey Hian
Suna Hai Us Ki Shabistaan Say Mutassil Hai Bahisht
Makeen Idher Kay Bhi Jalwey Udher Kay Daikhtey Hian
Bus Ik Nazar May Lut-Ta Hai Qafila Dil Ka
Jo Rah Rawaney Tamanna Hain Darr Kay Daikhtey Hian
Chalay To Gardeeshain Us Ka Tawaf Kerti Hain
Rukay To Zamaney Theher Kay Daikhtey Hian
Kahaniyaan Hi Sahi Sab Mubalghain Hi Sahi
Ager Woh Khuwab Hai Tabeer Kerkay Daikhtey Hian
Ab Us Kay Sheher May Thehrain Ya Kuuch Ker Jayein
“Faraz” Aao Sitarey Safar Kay Daikhtey Hian