Suna Hai Ishq Mein Haal-E-Dil Bigad Jaate Hain,
Lo Ye Chale Hum Dua Karna Bachaane Ke Liye.
Wo Paas Bhi Aaya To Pal-Do-Pal Mere,
Waqt Tang Tha Kuchh Unko Sunaane Ke Liye.
Mumkin Tha Mera Khaali Haath Hi Rahna,
Unki Har Adaa Hai Baaki Zamaane Ke Liye.
Ek Gham Mein Humne Khud Ko Jala Kar Dekha,
Kaun Aata Hai Meri Aag Bujhaane Ke Liye.
Toofaan Mein Ik Bikhar Gaya Ashiyaan Apna,
Koi Aata Nahi Ghar Mera Banaane Ke Liye.
Khushi Ke Aansoo Bhi Gham Ki Aankho Se Nikle,
Dard Zyaada Hai Bohat Dil Se Bahaane Ke Liye.
Ik Umra Se Bhari Nigaahon Se Hum Jaage Hain,
Maut Bhi Aati Nahi Hai Mujhko Sulaane Ke Liye.
Bohat Pyaara Mere Khwaabon Ka Jawaan Hona Tha,
Hue Sab Be-Rang Se Kyun Ek Begaane Ke Liye.
Kya Kahein Apne Shauk Bhi Badal Diye Maine,
Koi Afsaana Nahi Ab Sabko Sunaane Ke Liye.
Ye Shahar Hai Veeraan Chalo Ab Chalen -Ë—tanha-‘,
Jagah Baaki Nahi Yahaan Mere Thikaane Ke Liye.