Subah Ki Pahli Dhoop Ho,
Ya Shaam Ki Khushbu Hawa Mein Lahrati Ho
Raat Ki Khamoshi Ho.
Ya Chandni Ka Aalam Ho.
Jab Kabhi Bhi Meri Nazar
Aashmaan Par Thharti Hai
Lagta Hai Wahi Gajal Muskuraai Hai
Chaman Maie Jab Kaliya Muskurati Ho
Ya Phool Apni Khushbu Bikhaer Rahe Ho
Patzhad Ka Pilapan Ho Ya Basant Ki Hariyali
Jab Kabhi Meri Nazar
Chaman Par Thharti Hai.
Lagta Hai Wahi Gajal Muskuraai Hai
Jab Kabhi Bhi Sawan Ki Rut Maie
Zula Julti Hu Aur Tab.
Aankho Ke Saamne Tera Chera Chha Jata Hai
Aur Ban Jaata Hai Hamara Rishta Bhi
Ek Suhani Gajal.