Subah Ki Dhoop Ujli Ujli Si
Tere Angon Ko Chhoo Ke Aayi Hai
Surkh Phoolon Ki Narm Saanson Mein
Sirf Khusboo Teri Samaayi Hai
Jab Lachak-Ti Hain Ye Laten Teri
Jhuk-Te Dekha Hai ,Main-Ne Baadal Ko
Shokh Mausam Ke Har Nazaare Mein
Tu Hi Bas Tu Hi Bas Saamayi Hai
Parbaton Se Fisalte Jharnon Mein
Teri Choodi Ki Khan-Khankhanaahat Hai
Udte Patton Ki Narm Chaapon Mein
Tere Paaon Ki Meethi Aahat Hai
Aa-Ke Chupke Se Tu Abhi Meri
Sooni Baahon Mein Jhool Jaayegi
-Ë—Mujh Ko Aane Mein Thodi Der Huyi-‘
Kah Ke Haule Se Muskuraayegi.
Jab Main Choomoonga Teri Palkon Ko
Teri Aankhon Mein Ik Nasha Hoga
Tere Angon Mein Thar-Thari Hogi
Waqt Bilkul Ruka Ruka Hoga
Der Tak Khoye Khoye Se Hum Tum
Ajnabi Rahguzar Se Guzren-Ge
Rasm-E-Duniya Ko Bhool Jaayenge
Aashiki Ke Safar Se Guzren-Ge
Bhool Jaaoonga Main Un Palon Mein Main
Apni Kismat Mein Bas Judaai Hai
Tu Mere Paas Hai Abhi Lekin
Sach To Ye Hai Ki Tu Parayi Ha