Soz-E-Nihaan Ko Yahaan Taq Chupaye Jaate Hai
Ki Tadap Tadap Ke Bhi Muskuraaye Jaate Hai
Pehle To Aazmaaya, Phir Todaa Hai Dil Meraa
Phir Bhi Tu Roothay, Hum Manaaye Jaate Hai
Na Vaada Kiyaa Koii Tuj Se, Na Lee Koii Kasam
Hum Phir Bhi Rasm-E-Vafaa Nibhaaye Jaate Hai
Mumkin Nahi Kabhi Tu Mile Mujhe Ban Ke Apnaa
Hum Teri Chaah Mein Duniyaa Bhulaaye Jaate Hai
Khafaa Hai Zindagi Hum Se, Aur Zindagi Se Neha?
Na Jaane Kyun Khud Ko Aazmaaye Jaate Hai