Soorat Badal Rahi Hai Ab Seerat Badal Rahi Hai
Kuchh Mausam-E-Umr Or Kuchh Fitrat Badal Rahi Hai,
Baaton Me Ab To Mere Wo Saadgi Nahi Rehti
Insaan Hi Hoon Mai Per Ab Insaaniyat Nikal Rahi Hai,
Ab Mandir Nahi Mai Jaata Sir Bhi Nahi Jhukaata
Sir Yoonhi Jhuka Huva Hai Ab Shradhha Fisal Gai Hai,
Har Roj Maangta Hoon-Â…maafi Mai Har Khata Ki
Lagta Hai Ye Khataaein Ab Aadat Me Dhal Rahi Hai,
Bach-Bach Ke Jurm Karta Hai Ye Aadmi Siyaana
Bas Meri Nazar Hi Mujhko Har Baar Chhal Rahi Hai,
Wo Keh Rahe Hain Mujhse ‘Ey Chaand’ Door Ho Kyon
Keise Kahoon Mai Unse-Â…meri ‘Niyat’ Badal Rahi Hai.