Sooni Si Zindagi Mein Meri Is Tarah Aayi Bahar,
Dher Saare Sapne Aur Khushiya Laayi Hazaar
Armaano Ke Pankh Kholkar Udne Laga Yeh Dil,
Sapno Se Pyara Lagne Laga Sansar
Khuda Se Jo Bhi Maanga Tha Maine,
Woh Sab Jaise Mil Gaya
Mere Gulshan Mein Jaise,
Har Ek Gul Kjhil Gaya
Par Nadaan The Ham,
Ye Jana Hi Nahi
Ki Ye Khushiya Kuch Palon Mein,
Kho Jayegi Kahin
Phir Soona Sa Ho Gaya
Apna Yeh Aashiyana
Baaki Tha Toh Bas Aankho Se,
Ashkon Ko Bahana
Toot Kar Bikhar Gaye Saare Sapne Pyar Ke,
Sheeshe Ke The Saare Waade Yaar Ke
Zindagi Mein Dekhe The Dukh Pehle Bhi,
Par Har Pal Na Mare The Pehle Aise Haar Ke
Sochte Hai Ke Ab Jo Hua
Uske Peeche Koi Majboori Hogi
Khuda Ne Kuch Sochkar Hi
Tay Kii Yeh Doori Hogi
Yu Milkar Bichadne Se Achcha,
Ham Akele Hote Toh Bhi Na Darte
Agar Pata Hota Kismat Ki Is Berehmi Ka,
Toh Ham Bhi Kabhi Mohabbat Na Karte