Sookhi Jhurriyon Se Bana Chehra,
Per Aankhein Paani Bhari,
Aundhey Letay, God Mein Sar,
Kaise Bhul Jaun Raatey Kahani Bhari.
Kuch Darawni, Kuch Hairatangez,
Kuch Musalsal Mazakiya,
Kuch Mazhabi, Kuch Siyasati,
Shehzadey, Shehzadi Aur Rani Bhari.
Na Thaktey Hum Tum,
Na Aati Humain Jamhai Ya Angrai Bhi,
Jab Tak Tum Kholay Rakhti Potli,
Kahaniyan Nayi Aur Purani Bhari.
Ab Khud Ek Baap Hun Or Sochta Hun
Tumhari Kahaniyon Ko,
Wohi Kissey Sunata Hoon Meri Gudiya Ko,
Par Tumhari Zubani Bhari.
Lagta Hai Kyun Mujhay,
Un Kisson Ke Kirdar Hain Jaaney Huay,
Sabkuch Khayali Tha,
Ya Phir Kuch Usme Thi Tumhari Zindagani Bhari?
Kyun Tumhari Kahaniyon Mein
Hamesha Raja Gum Ho Jata Tha?
Ab Bhi Yaad Hain Karwa-Chauth Ke Din
Ankhen Tumhari Viraani Bhari.
Kyun Ho Jatey Thay Shehzadey
Juda Nayi Riyasat Ki Khoj Mein?
Kyun Chuttiyon Ke Bad Humari Wapsi
Ko Dekhti Tum Pareshani Bhari?
Kahani Khatam Hone Per Bhi Jab Hum
Poochtey Aur Fir -ŗdaadi-
“Dungi Jawab Ik Roz”, Kaha Tumnay
Chamakti Aankhey Sayaani Bhari.
To Yeh Hai Jawab -ŗaur Fir Ka-,
Kafan Mein Lipti Beherkat Leti Hui!
Har Kissa Hota Hain Khatam Ek Din,
Kitni Bhi Ho Usmey Rawani Bhari,
Ab Merey Kissey Bhi Alag Aur
Muktlif Huay Daadi Ke Kisson Se,
Jo Sunata Hun Kissay Gudiya Ko,
Unmey Hoti Hai Ab Meri Jawani Bhari.
Aundhey Letay, God Mein Sar,
Kaise Bhul Jaun Raatey Kahani Bhari….