Sook Perwanon Ka Dunya Ney Manaya Aksar
Mein Sulagti Rahi Laikin Kabhi Matam Na Hoa
Tumko Jalney Ka Patangon Key Ilim Hai Logon
Merey Seeney Say Bhi Shoolon Ka Ubalna Dekho
Aah Kerti Hon Na Faryad Kissi Say Ghum Ki
Ashk Ban Ban Key Merey Jism Ka Dhalna Dekho
Mujh Ko Kis Jurm Ki Tum Loog Saza Daitey Ho
Shaam Hotey Hi Mujhey Roz Jala Daitey Ho
Kudh Hi Mehfil Ki Bana Laitey Ho Zeenat Mujh Ko
Kudh Hi Perwanon Ka Ilzaam Laga Daitey Ho
Mujh Ko Taqdeer Ney Baqshi Hai Bus Eik Shub Ki Hayat
Mera Bachpan Bhi Jawani Bhi Burhapa Bhi Jala
Yeh Patangey To Faqat Aag Key Shaidai Hain
Jub Bujhi Hon To Koi Bhi Na Merey Sath Raha
Shub Ki Bikhri Huwee Zulfon Say Ulhajh Ker Mein Ney
Ghore Raton Mein Dikhai Rah-E-Manzil Tumko
Zindagi Mein Ney Lutai Hai Tumhari Khatir
Mein Hi Aayee Na Nazar Soog Key Khabil Tumko
Merey Roney Pay Kissi Ankh Say Ansoo Na Giray
Merey Jalney Ka Kissi Ko Bhi Kabhi Ghum Na Hoa!
Sook Perwanon Ka Dunya Ney Manaya Aksar
Mein Sulagti Rahi Laikin Kabhi Matam Na Ho