Sochti Hu Kuch Mein Likhu Magar Kya Likhu?
Samaj Ko Dekh Ke Ya Mein Gam-E-Dil Ko Likhu?
Kagaz Ko Haare-Bhare Rangon Se Rangna Chahti Hoon,
Har Dil Ko Mein Khushiyon Se Bharna Chahti Hoon!
Magar Lagta Kuch Aisa Ki Kalam Ruk Jaati Hai,
Sochti Hoon Har Dil Ki Pyaas Ya Haale Dil Likhu!!
Chaaron Taraf Dekhti Hoon Kuch Hassi Hai Kuch Aansoo,
Kaash Uttar Kagaz Par Har Dil Ko Sunao!
Ain* Waqt Meri Zindaghi Se Aansoo Tapak Pade,
Samajh Nahi Kagaz Pe Kin Aansoon Ko Likhu!!
Dard Ko Mein Samajhti Hoon Uski Tarap Bhi Hai Pata,
So Aansoon Nahi Kagaz Pe Utarna Chahti Hoon!
Chahti To Hoon Ki Har Honth Par Muskaan Hi Rahein Bas,
Par Maan Nahi Paati Ki Wo Likhu Ya Yeh Likhu!!
Kuch Likhne Ko Jab Andar Se Dabaav Parta Hai,
Na Sujhe Kuch In Aansson Pe Hi Kalam Chalti Hai!
Gamn Ko Hai Meine Khaya Ya Gamn Mujhe Hi Hai Kha Gaye,
Haar Kar Phir Sochti Hoon Bas Jazbaate Dil Ko Hi Likhu!!
Kalam Jab Uthaon To Gamn Pe Hi Kyu Chalti Hain,
Sirf Aansoo Hi Kyu Zindaghi Mein Yaad Rehte Hain!
Shayad Yeh Sochne Par Majhboor Jo Karte Hain,
SocheJas Maan Mein Jo Aaye Wo Hi Likhu!!